Ek Bachpan ka jamana tha,
Jisme Khushiyo Ka Khajana Tha...
Chahat Chand ko Pane ki THi,
Par Dil Titli Ka divana tha...
khabr na thi khuchh subha ki,
na sham ka thikana tha...
Thak kar aana school se,
par khelne bhi jana tha...
Maa ki kahaniya thi,
pariyo ka fasana tha...
barish me kagaj ki nav thi.
har mosam suhana tha...
roneki vajah na thi,
na hasne ka bahana tha...
kyu ho gaye ham itne bade?
isse achchha to vo bachapan ka jamana tha...
isse achchha to vo bachapan ka jamana tha...