Advertisement



Mulaqat kuch is tarah adhuri si rah gai by Mansi Mangroliya



Hum jab paheli bar mile the,
 kabhi socha n tha ki wo hamari paheli aur aakhri mulaqat hogi. 
Najar se najar tak nahi Mila paye the aur mulaqat adhuri si rah gai. 
Jab tumne mera hath thama tha 
tab tumhe kahna hi rah gaya ki ab kabhi mera sath mat chhodna. 
Tumhe dekhti hi rah gai aur jo shikayatain karni thi wo sari bhul gai. 
Hum jab sath me bethe the, tab kuch sukun sa ehsas mujhe hua tha, 
aur us mehfil me kuch esi dubi ki tujhe sine se lagana hi bhul gai.
Jab tum bewajah muskura rahe the, kambakkht use camere me ked karna hi rah gaya. 
Aur wo hamari paheli aur akhari mulaqat kuch is tarah adhuri si rah gai.