Advertisement



Meri pyari behna for Raksha Bandhan khat by - Mansi Mangroliya



Meri pyari behna, 
Aj is rakshabandhan ke pavitra tyohar ki dher sari badhaiya. 
Hamara koi bhai nahi hai par tuhi mere liye badi bahen aur bada bhai dono hai. 
Tune mujhe hamesha bhai jaisa hi pyar diya hai.
Kabhi bhai ki kami Mehsoos hi nahi hone di. Mujhe hamesha har chhoti badi bato me support kiya.
Bachapan se leke aaj tak tune mere har nakhre uthaye hai. 
Mana ki mene tujhe bahot tang kiya
Kabhi kabhi meri galti hone par bhi papa se tujhe dat lagavayi hai, 
Par is shararato me bhi bahot sara mera pyar hota hai. 
Hamara koi bhai nahi hai to kya hua...
Hum dono hi ek dusre ke liye kafi hai. 
Tera mera rishta bahot hi anmol hai, 
kyuki tuhi meri Jindgi ka Sahara hai. 
Wo jab me meri secrets tujhe batati thi 
aur kahati thi ki please papa ko mat batana 
aur tu mujhse promise kiya karti thi. 
Uske liye bahot sara thank you. 
Tujhe pareshan karna mera huq hai, 
isiliye bura mat lagana varna me rooth jaungi
to mujhe manana bahot bhari padega tuje...
Tu meri support system hai,
Bas ese hi hasti rahena aur mere nakhre uthati rahena. 
Tu hai thodi nautanki par meri jaan hai. 
Sach kahu to tu hi meri rakshak hai. 
Tera sath mujhe jannat jaisa lagta hai. 
Aaj sab apne apne bhai ko rakhi bandhege. Mere pas bhai nahi hai to kya hua?
Mere pas bhai se bhi badhakar bahen hai. 
Me tujhe rakhi bandhakar  rakshabandhan manaungi. 
I love you dii...
Happy rakshabandhan..


Vector illustartion of Indian Festival Happy Raksha bandhan.

Vector illustration of Raksha bandhan. Indian festival of sisters and brothers. with light background.

Vector illustration of Raksha bandhan. Indian festival of  two sisters and one brothers. withe light background.

Vector illustration of Raksha bandhan. Indian festival of sisters and brothers. withe light background.


festival Raksha Bandhan brother and sister concept line art.



નથી ભાઈ મારો ડોક્ટર કે નથી એ કોઈ પોલીસ ઓફિસર,
પણ છતાં મારી રક્ષા કરવા માટે એ કોરોના જેવી અનેક આફતો સામે લડવા હંમેશા તૈયાર  હોય છે.