Advertisement



Ae Jindgi thoda to has le by Mansi Mangroliya



Ae Jindgi thoda to has le,
Dard aur gum to teri saheliya hai, 
Tu ruthegi to me mana lungi, 
Thoda waqt mujhe bhi to de sambhalneka, 

Thak chuki hu dard chhipate chhipate
aur me thik hoon batate batate,
Ae Jindgi thoda to has le. 
Mujhe bhi har pal ko jina hai, 

Jhuthi smile nahi, sachi smile ke sath har pal ko ked karna hai, 

Har sapne ko pura karna hai, 
manjil ka rasta mujhe bhi dhundhna hai, 
Par ek bar ae Jindgi tu muskura de,
Tuj sang mujhe girna hai, 
tuj sang hi fir se khada hona hai...

Ae Jindgi abhi to tujhe rangin  banana hai, 
Dil me jo darare hui hai use bhi  to jodna hai, 
Tune hi shikhaya  ki log milte hai aur bichhadate hai, 
Fir tum kyu udas hoti ho??, 
Ae Jindgi ek bar jara muskura to de...